Sunday, January 23, 2011

Paisa hai to log puchte hain kaisa hai......


mai dhaabe pe baitha chaaye pee raha tha, wahin saamane ek or aadami baitha tha.
use dekha, bilkul saant baitha wo v chaaye pee raha tha. kabhi idhar dekhta kabhi udhar,
man jidhar chahe najren udhar hi jaati. maine socha ke wo kya soch raha hoga, kya bilkul meri tarah hi soch raha hoga ya bas yunhi, uski aankhon me maine dekha, na to mujhe sapne dikhe na
kisi cheez ki chahat, bas sukhi si aankhen thi. par humdono same same but different the, wo berojgaar tha mai padha likha berojgaar tha. chalo koi nahi sab chalta hai.

jab maine glass niche rakh kar sir jo uthaya to dekha, mere saamane ek badi lambi si gaadi aa kar ruki aisey chamak rahi thi maano abhi abhi face wash kar ke aayi ho. use mai dekhta raha.

kuch hi der baad aawaaj aayi, abe idhar kya dekhta hai teri aaukaat nahi hai mujhe dekhne ki,
mai sochne laga aakhir aawaaj kidhar se aayi, tab us car ne bola abey idhar udhar kya dekhta hai, mai bol raha hun Mercedes. chal nikal le. udaas ho kar maine apni najar dusri oor kiya to dekha ek tatao nano bhi khadi thi, usne bhi bola bhai mai to waisey hi market me kam chalta hun, teri najar lag gayi tab to kalyaan hi ho jaayega jab pocket me paisaa ho tab aana idhar.

jab sir ghumaya apna to dekha wahan ek magic inverter baitha hai, usne bhi bola bhai dekh mai bhi teri koi madad nahi kar sakta, mai bhi tere life me koi magic kar ke light nahi laa sakta, sorry brother.

bahoot hi ghutan si ho rahi thi, jidhar dekhta udhar se hi aawaj aati, aagey badha to thokar lagi or fir samhala, ke is par sadak ne kaha abey andhe tere dil me dard hai to kya tu mere chaaley pe pair rakh ke jaayega, chal side le or footpath pakad, tere jaison ke liye nahi hai ye, mai ees aas me idhar pada hun ke kisi acchi si gaadi ya ladki ki darshan ho jaaye, chal nikal.

jab aagey badha to ek ped khadi thi, wo mujhe dekhte hi samajh gayi ye kuch bolne wala hai, tabhi wo bol padi, dekh yara mere paas fal hain nahi or saare paate jhad gaye hain, na to mai tujhe khaane ko kuch de sakti hun or nahi aaram karne ke liye, or beta ab wo din gaye jab ped ke niche log chaawon me aaram karte the ab to yahan par badi building banane waali hai tu uske chaawon me aaram karna.

badi bojhil si zindagi lag rahi thi, jab apne sir ko bhagwaan se vinati karne ke liye upar uthaya to dekha har ek 2 min par metro mere upar hans ke jaa rahi hai(HA HA HA HA HA HA HA HA).

ab khaane ko sirf thokar or pine ko sirf aansu bache the. tabhi achanak se rikshe ki ghanti baji, usne pucha kya hua brother, bade udaas ho koi baat, jaisey hi mai bolta usne bola sun bhai, teri haalat bahoot hi kharab hai is haalat me na tu mar sakta hai or nahi tu jeena chahega, par ek kaam hai jo tu kar sakta hai, mere saath kaam kar, tu bhi khush mai bhi khush, mai sochne laga, tabhi us rikshe ne bola lekin bhai tu kaam kaisey karega tere to ego pe aajayega, tu jaa bhai tu jaa kar apani zindagi ki daastan apne panno par likh or blog pe daal, tere liye wahi sahi hai.

jab hosh-o-hawaash kho kar besudh ho kar aagey badha to ek kutte ne tok diya, kya be bhangi, fat kar haath me aagayi, chal tu mere saath chal. dekh ye hai shera, ye samsher, ye hai jhapki sala hamesha sota rahta hai, n myself TOM, TOM CRUZZ, dekh bhai agar apna gang tujhe pasand aaya to tu kal se join kar sakta hai, itane pe jhapki bola par ek panga hai ye sala kutta to hai nahi ye thahra aadami ise apne gang me shaamil karna accha nahi hoga, ispar TOM bola baat to sahi hai re baba, tu adami log ka locha idhar nahi maaangata, tu jaa re idhar se jaa tu, par sun, tum aadami hai re man, tum to kutta hai nahi, fir ye kutton waali zindagi kyun jeeta hai, himmat baandh or daud jaa zindagi ki race me ek din tu accha hi karega.

mujhe kuch samajh nahi aaraha tha, main ek kone me jaa kar baith gaya, tabhi us zameen ne bola, dekh bhai tu hai insaan, or tulog hamesha apne man ki karta hai, or chahata hai ke bina kaam kiye tu revolving chair pe baithe, to aisa kaisa chalenga na baba. bhai jo karna hai use thaan le or bas chala chal ek na ek din kahin to pahunchega, kyun ke baba POCKET ME PAISA HAI TABHI LOG PUCHTA HAI KAISA HAI???. paisa kamana hai to kaam kar, kaam karni hai to mehnat kar, or jab mehnat kar ke paisa kamayega to ijjat bhi free me milegi, abhi idhar jyada der baithne ka nahi, jyada der aisey baithne se bhi log maarta hai idhar.. chal ab jaa chaaye ke saath britania kha or kuch ban ke dikha................:)

3 comments:

  1. mast hai bhai.... kip it up:-)

    ReplyDelete
  2. yaar tu to apna v baap nikla..... mast hai bohot mast..... yaar tera soch to hmsb se upar hai..... gajab ka dimag hai tera..... aise hi accha aur creative socha kar..... dhamaaal...:-)

    ReplyDelete
  3. sumit bhai.....age bhi toh likho kuch......ye sare toh padh padh ke yaad ho geya....... :P

    ReplyDelete