Thursday, June 3, 2010

smell of life.

zindagi, zindagi tum kaun ho, kaha ho, kya ho.?

Maa ki lori me, bachpan ki chori me,
gaaon ki gori me, jalti dori me,
zindagi hai.

chaawal or daal me, makde ki jaal me,
kabaddi ki taal me, sute ki shawl me,
zindagi hai.

suraj or chande me,vaishyaaon ke dhandhe me,
mumbai ke kaande me, khaane ke waande me,
zindagi hai.

poosh ki raat me, madhusala ki har baat me,
logon ke jajbaat me, baarish ki barsaat me,
zindagi hai.

desh ke raashtriye gaan me, tirange ki sammaan me,
tuti chat waali makaan me, sukh-dukh ke har tufaan me,
zindagi hai.

rail ki chuk-chuk me, dhadkan ki dhuk-dhuk me,
rote bacchi ki bhukh me, bilakhti maa ki dukh me,
zindagi hai.

paayal ki jhankar me, sarhadon ki diwaar me,
garmi ki lehar me, thandi ki do-pahar me,
zindagi hai.

koyal ki ku-ku me, saas bahu ki hu-tu-tu me,
kabutar ki gutar-gu me,tv serial ki tarrum-tu me,
zindagi hai.

humaare aaj me kal me, zindagi ki har kal-kal me,
khwaabon ke har pal me, makke di roti sarso da saag waali har gal me,
zindagi hai.

raakhi ke bandhan me, haathon ke kangan me,
khushiyon se bhari aangan me, or mor ke liye saawan me,
zindagi hai.

Aam ke achaar me, papa ke maar me,
maa ki pyaar me, bhai bahan ke dulaar me,
zindagi hai.

teej me Id me, bangal ke har geet me,
gudde guddiyon ki shaadiyon me, kashmir ki waadiyon me,
zindagi hai.

waqt ke bitne me, haar ke jitne me,
choton se sikhne me, bado se pitne me,
zindagi hai.


IT'Z LIFE HANDLE WITH CARE.

A THOUGHT BY,
sumit.