Thursday, January 27, 2011

EK SURAAHI PAANI PAANI..


Ek thi gudiyaa badi shayaani, chulbul chul bul natkhat raani
kaan kaatati rehti sabki, ban gayi baapu ki pareshaani.

har aangan jaa karti dham dham, naa dar naa bhaye naa thi sharm
jaisey hi baapu aata tha, daant dapat jab kar jata tha
gussey me paayal chanka kar, kar ke jaati chan chan chan chan
bechaari ke aankhon me aansu bhi aajatey madhham.

ek-khatt, du-khatt, jhule, memne
yahi rang dekhey the sab ne
maa pukaari, sun 'SURAAHI'
khaa le jaldi warna pakdega seepahi.

uskey nakhre baapu ko raas na aai
socha, ho gayi umra ab kar dun bidaai
ek din baapu le aaya raaj kumar
kar baitha suraahi pe atyaachaar
jab tak wo pagli samajh bhi paati
tab tak uski ho gayi shaadi.

baapu ne kar di beimaani
fir kuchli gayi ek maasum kahani
ab to bas rah gayi EK SURAAHI PAANI PAANI.....

bachhon ko uskey bachpan ka haq den, warna budhaape me kahin wo
aapko yunhi na chorr den...

stop child marriage......

Sunday, January 23, 2011

Apne hi galiyon ka shahrukh tha mai...........


wo bhi kya hassen pal the, jab chote the thode mote the, haath me atthanni ki charkhi liye sadkon pe befikra daudte the, class me baithate the par hamari kaano ki najren hamesha chutti ki ghanti
sunane ko aithte the. wo dushahare ke pure dus din me puri duniya ghumte the, jab paint ki chain khol kar sadak ke side diwaal pe susu se kalakariyan kaarte the.

rishtey to kuch unlogon se bhi the, jab naagraaj khatre me hota tha or chacha chaudhri kisi mujrim ke piche hota tha, black n white tv pe wo shaktimaan ka wait karna or jab kahin se star plus jhilmil jhilmil si aati to fat se jaa kar anteena ghumana or kehna, bhaiya aaye to batana. wo 5 rupayee ghante waale cycle bhaade pe lana or subah shaam dil me tufaan bharkar scooter se race lagana.

wo shukrawaar ko chitrahaar dekhna or ravivaar ko rangoli ka aana, or jis din khelne ko mana ho jaaye us din aankhon se aansuaaon ka malhaar chalna. dinbhar khel ke naye naye tarike nikalte the, shaam 4 bajte hi tution se chutti paane ke liye koi na koi bahana jarur banate the.

wo puraani kharaab walkman ko roj roj thik karne ka jaddo-jahaed hota tha, apne walkman ko thik hone ke liye bhagwaan tak ko bolta tha. audio cassette ki head jeev se saaf karta tha or phir bhi na baje to uski reel nikal kar cycle ki handle me lagata tha.

bachpan me zindagi ko mai bahoot thakata tha, jab kuch nayi tarkeeb na sujhi to chaattey ke niche baithkar S.K. kirana store chalata tha.
school na jaane ka bahana kar ke mai jhaadu lagata tha, or bhaiya ke bahar jaatey hi fauran bahar chala jata tha, jab thele pe jaa kar aalu kachaalu bade masti me khata tha, agar master ji road pe dikh gaye to paint v gila ho jata tha.

roj shaam ko saj sawar kar ghar se nikalta tha, har ek naye din apne hi galiyon me kabhi shahrukh to kabhi salman banta tha. agar baingan ki sabji na mile to nahi khaata tha, jaisey hi mummy bhaiya ko pukaarti to char newala ek saath chala jata tha.

2 bajtey hi cricket ka bhoot samata tha, saath me saket, amit, raja, sonu or gulshan aata tha,
fielding ka muaayena to aisa karta tha mano sachin or dravid mujh me hi samataa tha.
ball haath me aatey hi zaheer khan tha mai, feel to aisa karta tha mano (SCC) sumit cricket club ki shaan tha mai.

wo bhi kya haseen pal the..............

Paisa hai to log puchte hain kaisa hai......


mai dhaabe pe baitha chaaye pee raha tha, wahin saamane ek or aadami baitha tha.
use dekha, bilkul saant baitha wo v chaaye pee raha tha. kabhi idhar dekhta kabhi udhar,
man jidhar chahe najren udhar hi jaati. maine socha ke wo kya soch raha hoga, kya bilkul meri tarah hi soch raha hoga ya bas yunhi, uski aankhon me maine dekha, na to mujhe sapne dikhe na
kisi cheez ki chahat, bas sukhi si aankhen thi. par humdono same same but different the, wo berojgaar tha mai padha likha berojgaar tha. chalo koi nahi sab chalta hai.

jab maine glass niche rakh kar sir jo uthaya to dekha, mere saamane ek badi lambi si gaadi aa kar ruki aisey chamak rahi thi maano abhi abhi face wash kar ke aayi ho. use mai dekhta raha.

kuch hi der baad aawaaj aayi, abe idhar kya dekhta hai teri aaukaat nahi hai mujhe dekhne ki,
mai sochne laga aakhir aawaaj kidhar se aayi, tab us car ne bola abey idhar udhar kya dekhta hai, mai bol raha hun Mercedes. chal nikal le. udaas ho kar maine apni najar dusri oor kiya to dekha ek tatao nano bhi khadi thi, usne bhi bola bhai mai to waisey hi market me kam chalta hun, teri najar lag gayi tab to kalyaan hi ho jaayega jab pocket me paisaa ho tab aana idhar.

jab sir ghumaya apna to dekha wahan ek magic inverter baitha hai, usne bhi bola bhai dekh mai bhi teri koi madad nahi kar sakta, mai bhi tere life me koi magic kar ke light nahi laa sakta, sorry brother.

bahoot hi ghutan si ho rahi thi, jidhar dekhta udhar se hi aawaj aati, aagey badha to thokar lagi or fir samhala, ke is par sadak ne kaha abey andhe tere dil me dard hai to kya tu mere chaaley pe pair rakh ke jaayega, chal side le or footpath pakad, tere jaison ke liye nahi hai ye, mai ees aas me idhar pada hun ke kisi acchi si gaadi ya ladki ki darshan ho jaaye, chal nikal.

jab aagey badha to ek ped khadi thi, wo mujhe dekhte hi samajh gayi ye kuch bolne wala hai, tabhi wo bol padi, dekh yara mere paas fal hain nahi or saare paate jhad gaye hain, na to mai tujhe khaane ko kuch de sakti hun or nahi aaram karne ke liye, or beta ab wo din gaye jab ped ke niche log chaawon me aaram karte the ab to yahan par badi building banane waali hai tu uske chaawon me aaram karna.

badi bojhil si zindagi lag rahi thi, jab apne sir ko bhagwaan se vinati karne ke liye upar uthaya to dekha har ek 2 min par metro mere upar hans ke jaa rahi hai(HA HA HA HA HA HA HA HA).

ab khaane ko sirf thokar or pine ko sirf aansu bache the. tabhi achanak se rikshe ki ghanti baji, usne pucha kya hua brother, bade udaas ho koi baat, jaisey hi mai bolta usne bola sun bhai, teri haalat bahoot hi kharab hai is haalat me na tu mar sakta hai or nahi tu jeena chahega, par ek kaam hai jo tu kar sakta hai, mere saath kaam kar, tu bhi khush mai bhi khush, mai sochne laga, tabhi us rikshe ne bola lekin bhai tu kaam kaisey karega tere to ego pe aajayega, tu jaa bhai tu jaa kar apani zindagi ki daastan apne panno par likh or blog pe daal, tere liye wahi sahi hai.

jab hosh-o-hawaash kho kar besudh ho kar aagey badha to ek kutte ne tok diya, kya be bhangi, fat kar haath me aagayi, chal tu mere saath chal. dekh ye hai shera, ye samsher, ye hai jhapki sala hamesha sota rahta hai, n myself TOM, TOM CRUZZ, dekh bhai agar apna gang tujhe pasand aaya to tu kal se join kar sakta hai, itane pe jhapki bola par ek panga hai ye sala kutta to hai nahi ye thahra aadami ise apne gang me shaamil karna accha nahi hoga, ispar TOM bola baat to sahi hai re baba, tu adami log ka locha idhar nahi maaangata, tu jaa re idhar se jaa tu, par sun, tum aadami hai re man, tum to kutta hai nahi, fir ye kutton waali zindagi kyun jeeta hai, himmat baandh or daud jaa zindagi ki race me ek din tu accha hi karega.

mujhe kuch samajh nahi aaraha tha, main ek kone me jaa kar baith gaya, tabhi us zameen ne bola, dekh bhai tu hai insaan, or tulog hamesha apne man ki karta hai, or chahata hai ke bina kaam kiye tu revolving chair pe baithe, to aisa kaisa chalenga na baba. bhai jo karna hai use thaan le or bas chala chal ek na ek din kahin to pahunchega, kyun ke baba POCKET ME PAISA HAI TABHI LOG PUCHTA HAI KAISA HAI???. paisa kamana hai to kaam kar, kaam karni hai to mehnat kar, or jab mehnat kar ke paisa kamayega to ijjat bhi free me milegi, abhi idhar jyada der baithne ka nahi, jyada der aisey baithne se bhi log maarta hai idhar.. chal ab jaa chaaye ke saath britania kha or kuch ban ke dikha................:)

Friday, January 21, 2011

Ek hi khwaab ko kai baar dekha hai maine.........


ek hi khwaab ko kai baar dekha hai maine, sapno ke takiye tale dabe apni jaan dekha hai maine.
kisi ko batata nahi, najar lagtey hasraton ko tamam dekha hai maine.
ke dil me to hasraten bhi hain hausle bhi hain, halki si dard or thodi mahrum yaaden bhi hain.
isi ek khwaab me duniyaa jahan dekha hai maine.

ab to neend bhi khwaabon ka intajaar karti hi, palken bhi ek nayi subah ka darkaar karti hai.
din ba din, dar ba dar apne khwaabon pe aitbaar kiya hai maine, mere khwaabon me mera bhagwaan dekha hai maine..........

ek hi khwaab ko kai baar dekha hai maine, aankhon ke kandhe pe bade se bojh ka saaman dekha hai maine............

Tuesday, January 18, 2011

Musaafir


Koi aas lekar kuch pyaas lekar chalo chale hum apne man ki bhadaas lekar
inn raaston sang apne jeevan ki khattas lekar, kuch ansuni fijaaon ke saath
kuch ajnabi sajaaon ke saath, tanhaaiyon ke beech ek tanha sa saaj le kar
thodi maasumiyat ki sugandh to kuch insaaniyat ki saugandh le kar.

Chal musaafir chal, koi aas lekar kuch pyaas lekar jalne de dil ko aur chal
apne bite panno ka naarangi sa itihaas lekar..................................................

Saturday, January 15, 2011

JANNAT KA AASMAN


Jannaton me rahne wale waha v ek aasma hoga,
kuch ke khwahish parwaton se unche to koi patthar v avi jawan hoga,
jane kis mitti k log honge wahan, aur kis mitti ka aasiyan hoga,
kya waha v koi jhuth sach jung diwar hai ya sirf jannate mohabbat hoga,
jannato me rahne wale waha v ek aasman hoga...!!!!

kya waha k log v koi jaal bunten hain koi sajish hoti hai,
kya waha v batware ko lekar koi panchayat hoti hai,
kya waha v nim aur pipal k ped hain,
ya sab ko ek dusre se bair hai,

kya waha v nadiyon ki dhara kalkal bahti hai,
ya znddagi waha v logon se kuch kehti hai,
maine to socha tha kuch aisa hoga kuch waisa hoga,
pata nahi jannaten jahan kaisa hoga,

jannaton me rahne wale waha v ek aasman hoga...!!!

Nayi Aakash...


tu apni soch me ek vishwaash rakh, un parwaton se unche kuch aas rakh.
daud jaa le kar pyaas tu dum laga thoda aaj tu, kal ki uljhan me mat pad aaj me aawaj rakh.

aane de kal ko aur bitne de kal ko par us kal ke liye kuch khaas rakh,
bhigne de palkon ko sujne de in aankhon ko par un palkon tale apne sapno ka ehsaas rakh.

udaan bharne ki thodi chah rakh, apne dil me v dard ki thodi aah rakh
har saahil ko tufaan nasib nahi hota, tufaan me tairne ka kuch to gumaan rakh

tutegi har saakh se patton ki zindagi v ek din, tutne se pehle paane ka dil me
kuch to tufaan rakh.

tu kahta hai zindagi laash bana di hume, laash hi sahi, jalne ke baad kuch to nisaan rakh.
gaanth baandh himmat ki or aagey badhna hai to badhna hai.

kyun ki aaj thaani hai to karna hai, na rukna hai bas chalna hai
niv daali hai aaj zamin par ab apni manzilki ek nayi aakash rakh......






kabhi to jiyo kahin to jiyo...


kabhi kisi ke aansu me beh kar jiyo, kisi ke hansi me dab kar jiyo
kisi ke soch me khul kar jiyo kabhi khud ko bhul kar jiyo.

kabhi daawon pe jaan laga kar jiyo kabhi sur me taal mila kar jiyo
kabhi aankhon se jaam pila kar jiyo kabhi raat ke gaagar me shaam hila kar jiyo

kabhi gham ki chaawon me jiyo kabhi khushiyon ki gaaon me jiyo
kabhi khushi ke sannate me kaan laga kar jiyo, kabhi manzil par dhyaan laga kar jiyo.

kabhi subah ke intejaar me jiyo, kabhi zindagi ke inkaar me jiyo.
kabhi kismat ki jhankaar me jiyo, kabhi saath baithe chaar yar me jiyo.

kabhi maa ka aanchal tham kar jiyo, kabhi khud ka uncha naam kar jiyo
kabhi to kuch aisa kaam kar jiyo, kabhi to jiyo kahin to jiyo...........

Halki Hai

Halki Hai,

Insaaniyat par haiwaaniyat ki chaawon abhi halki hai, thodi gahri hone do
Haathon me lagi rang laal abhi halki hai, thodi gahri hone do.

Barson se chali aa rahi ek sawaal abhi halki hai, thodi gahri hone do
RAM RAHIM ke kar diye bure haal abhi halki hai, thodi gahri hone do.

Noch li insaaniyat ki chamdi kankaal abhi halki hai, thodi gahri hone do
jis mitti me janme uski to abhi aanchal dhali halki hai, sine ko thodi aur chalni hone do.

Insaaniyat par haiwaaniyat ki chaawon abhi halki hai, thodi gahri hone do...

A thought On Ayodhya verdict.