Saturday, January 15, 2011

kabhi to jiyo kahin to jiyo...


kabhi kisi ke aansu me beh kar jiyo, kisi ke hansi me dab kar jiyo
kisi ke soch me khul kar jiyo kabhi khud ko bhul kar jiyo.

kabhi daawon pe jaan laga kar jiyo kabhi sur me taal mila kar jiyo
kabhi aankhon se jaam pila kar jiyo kabhi raat ke gaagar me shaam hila kar jiyo

kabhi gham ki chaawon me jiyo kabhi khushiyon ki gaaon me jiyo
kabhi khushi ke sannate me kaan laga kar jiyo, kabhi manzil par dhyaan laga kar jiyo.

kabhi subah ke intejaar me jiyo, kabhi zindagi ke inkaar me jiyo.
kabhi kismat ki jhankaar me jiyo, kabhi saath baithe chaar yar me jiyo.

kabhi maa ka aanchal tham kar jiyo, kabhi khud ka uncha naam kar jiyo
kabhi to kuch aisa kaam kar jiyo, kabhi to jiyo kahin to jiyo...........

No comments:

Post a Comment