Thursday, February 3, 2011

ACTION KA SCHOOL DAYS

11:55 ho gaye hain ab bilkul bhi padhaai me man nahi lag raha kyun ki 12:00 baje chutti ho jaayegi, hum sab sahme nigaahon me chutti ki khushi bharkar, home work note kar rahe hain, master ji ne kaha, kal sab ko 11 ka pahaara (table), yad kar ke aana hai. hume unki aawaj pe kam or ghadi ki tic tic ki aawaaj pe jyada dhyan thi. Golu se mai rubber maang kar apne baste me daalne hi waala tha ki tabhi, tan tan, tan tan tan. ki aawaj class room me gunj uthi, or lage daudne 
gate ki taraf, koi bhi kahin se bhi dhakka lagata, master ji ko hatata hua aagey aa kar dost mandli ki intejaar karne lage. tabhi baarish bhi shuru ho gayi. ab jitne bacche nikle the wo nikal gaye or baaki sab fans gaye school me.

kyun ke aaj friday tha to aaj ka dress white tha. ab baarish me hum sab nikal gaye or bhigte bhigaatey sadkon par masti kartey, kabhi daayen kabhi baayen, to kabhi action ki school shoes ki less ko bandhte hue gadhhe me chalaang lagatey hue jaa rahey the. waisey bhi baarish ka asli majaa to bhigne me hi hai, wo bhi school dress me taaki dusre din agar kapde or shoes sukhe na hue to school na jaana pade. log agal bagal baarish ke karan chupe hue the or hume dekh kar wo bhi khush ho rahey the, humsab me se koi naach raha tha koi gaane gata chal raha tha, sadkon pe jami paani to ye ehsaas dila rahi thi jaise us chotey samandar ke hum baadshhah hain. pata nahi kya kya chizen paairon me aa kar lipatati thi, par sochne ka waqt kise tha. kaagaj ki naaw bana kar race lagaane lagey, dekhte hain kiski naaw pehle dubati hai. fir v man nahi bhara to jutey hi bahaa diye...ab baarish halki hoti gayi saath me hamaari masti bhi.. bhigey gandey kapdey me ghar pahunche to wahan bhi dhunaai or pitaai ki baarish ho gayi, or jab agley din bina homework ke school gaya to wahan bhi baarish.

aaj jab baarish me fasta hun, to mai bhi kinaarey me chup jata hun, or jab fir se aisey bacchon ko masti karte dekhta hun to mai bhi hans padta hun, ab bas farq itna sa tha, ke pehle mai wahan tha aaj yahan hun.
ab jab baarish se mulakat hogi to agli baar jarur bhigunga, or fir se paani me chap chap karenge.
aaj jab puraane bakshe me kuch dhundh raha tha tab meri najar wo puraane school shirt par gayi to kuch baatein yad aagayi, or us jutey ko aaj v saaf kar ke rakhta hun. ACTION KA SCHOOL DAYS.

No comments:

Post a Comment