Makaan
3 saal ho gaye, aisa ek din bhi nahi jab mai tumhe yad nahi karti, tumne puri duniyaa ghumi,
Europe dekha france dekha, mujhe v khushi hui, jab tum tarakki karney lage bade banane lagey, par mai to wahin hun jahan tum chor kar gaye the, mai to tumse milne wahan nahi aasakti, kabhi man karey to tum to aa sakte ho, aisey v zindagi me vyast hone ka kya faayada jab apne hi chutate chaley jaayen, kitna accha lagta tha jab tum bacche the, meri god(aangan) me khela kartey the, jab v chotey kadmo se lambi lambi challang lagatey hue chaltey the or jab girtey the to apne papa se kah kar mujhe maar khilaatey the. Mere kaandhe pe chadh kar jo tum patang udaatey the. Jab v bhaiya tumhara khilauna le leta tha, (mere gale)ek kone me jaa kar chipak jaatey the koi kitna v hatata nhi hatate the. Tum to sab bhul gaye. mai, mai to bhul hi nahi pati, tumhe chotey se bade hotey dekha hai. Tumhaari shaadi v dekhi maine, kitne khush the tum or jab mere aangan me khelne ke liye ek or nanha munaa aata us se pahley hi yahan hospital acchey nahi hai ka bahana kar ke tum chaley gaye, ab to bas mai wahin akeli khadi hun, umra v ho chali hai ab to bas khadhar hi hun, jab apne log apne aangan me rahtey hain to himmat badi hoti hai, ab jab koi nahi to ye akelapan mujhe maar rahi hai,
Tum badal gaye ho lekin aaj v ye galiyan waisey hi hain, or jo saamne naali behti thi, ab bhi behti hai, use banaane ke liye municipal waaley aaye the, aadhe adhure bana kar chaley gaye, ab logon ko or pareshaani hoti hai, bagal me wo jo aslam rahta hai, ab wo bada ho gaya hai, or apni bakari ko mere hi bagiya me baandh jaata hai, apne kamre me diya baati karne waala v ab koi nahi hai, aisa lagta hai bhut ro raha hai, samne pole pe tangi bulb se jo halki raushani aati thi tuti khidki se, ab wo bhi nahi aati kyun ke pichli baarish me bulb fut gayi thi, tum they to lagatey the, ab kisko padi hai, kahtey hain jiski makaan saamne hai wo jaane. Bagal waaley bargad ki jo ped hai ab or ghani or badi ho gayi hai, uski daaliyan mere maathe par jhuli rahti hai. Saarey tulsi ke ped to kab ke sukh gaye hain, or saara paint to kab ka kharaab ho gaya, tum jab v aao tumhara swagat hai, mai intejaar karungi.
Waisey suna hai, tumne delhi me 3bhk ki flat li hai, kya wahan meri tarah badi si aanagan hai, 10, 12 kamrey to honge na, tumhe koi pareshaani to nahi hoti jab bua ya chacha aatey hain, aangan me dhup aati hai? Billiyan mundero par aati hai kya? Ek baat puchun kya tumhe maine dhang se nahi rakha jo tumne itney mahangey daamon me sirf 3 room ki ghar liye. Bina angan bina chhatt. Chalo Jaisa bhi hai accha hai, bas kabhi kabhi yaad kar liya karna.
Tumhari Gaayatri Kunj
Nayi sadak, Jeevanpur
100082.